zikr-e-tahrim-e-haram ya jam-e-sahba kuchh to ho ruh ki shoala-mizaji ka mudawa kuchh to ho dagh-e-dil zakhm-e-nazar soz-e-jigar fikr-e-hayat hum tahi-daman sahi nazr-e-tamanna kuchh to ho rahguzar viran hai har hadisa khamosh hai ai dil-e-iza-talab bahr-e-tamasha kuchh to ho zindagi phir apne mustaqbil se ghafil kyon hui saghar-e-imroz mein sahba-e-farda kuchh to ho hum kisi ehsas se khamosh hain un ke huzur wo ba-zid hain hum se tashrih-e-tamanna kuchh to ho be-talab kaise mile kyun-kar mile husn-e-talab zindagi ke hont par aakhir taqaza kuchh to ho kis qadar mayus hai mera junun-e-be-karan 'bakht' aakhir wusat-e-daman-e-sahra kuchh to ho