zikr hai dard ka ek shahr basa hai mujh se ab ye jaana ki mera dard bada hai mujh se bahut ehsan hai jo koi bhi mila hai mujh se shahr ka shahr magar jaise khafa hai mujh se bar-ha khud pe main hairan bahut hota hun koi hai mujh mein jo bilkul hi juda hai mujh se kat se jate hain sabhi koi nahin kuchh kahta kaun sa jaane qusur aisa hua hai mujh se munh pe kahne to lage hain meri basti wale baat karne ka chalan kuchh to chala hai mujh se baat karte hue khud se jo guzarta hai koi mujh ko lagta hai ye kuchh us ne kaha hai mujh se abhi laut aaega meri hi tarah kudhta sa mere hi ghar ka pata puchh gaya hai mujh se main ne ye sab se kaha tum to kahin ke na rahe aur dekho ki yahi sab ne kaha hai mujh se hai koi mujh sa kahun kya na main jaanun na kuchh aur aur mera hi pata puchh raha hai mujh se 'talkh' jata hi nahin dukh ke nagar kahta hai hai wahan jo bhi wo mil kar hi gaya hai mujh se