zikr har subh o sham hai tera wird-e-ashiq kun nam hai tera mat kar aazad dam-e-zulf sin dil baal-bandha ghulam hai tera lashkar-e-gham ne dil sin kuch kiya jab se is mein maqam hai tera jam-e-mai ka pilana hai be-rang shauq jin kun mudam hai tera aaj 'naji' se ram na kar ai shokh dekh muddat sin ram hai tera