qad o gesu lab-o-ruKHsar ke afsane chale

qad o gesu lab-o-rukhsar ke afsane chale
aaj mahfil mein tere nam pe paimane chale

abhi tu ne dil-e-shorida ko dekha kya hai
mauj mein aae to tufanon se takrane chale

dekhen ab rahta hai kis kis ka gareban sabit
chaak-e-dil le ke teri bazm se diwane chale

phir kisi jashn-e-charaghan ka guman hai shayad
aaj har samt se pur-sokhta parwane chale

ye masihai bhi ek turfa-tamasha hai ki jab
dam ulat jae to wo zakhmon ko sahlane chale

jis ne uljhaya hai kitne hi dilon ko yaro
hum bhi us zulf-e-girah-gir ko suljhane chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close