zikr hota hai us pari-wash ka jab bhi mahfil mein baat hoti hai

zikr hota hai us pari-wash ka jab bhi mahfil mein baat hoti hai
us ki yaadon ki anjuman hi mein din guzarta hai raat hoti hai

sadqe utri hai zist is dil ke ruh ki hai mafariqat tan se
iltihab-e-wajud khatm hua gham se dil ko najat hoti hai

lakh pahre bhi hon to mahfil mein baat karne se kaise rokenge
kaun jaane zaban-e-ahl-e-wafa aankhon aankhon mein baat hoti hai

lamhe guzre jo un ki bahon mein raqs-kun ab bhi hain nigahon mein
un ki zulfon ki chhanw ke niche kitni dilkash hayat hoti hai

us ki tarif kya karen 'shahin' sath jis ke khudai hai sari
zulf sanwri to din nikalta hai zulf bikhri to raat hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close