zikr shabbir se nikal aaya khun tahrir se nikal aaya hai gharibi ki fasl-e-gul ki samar chhat ke shahtir se nikal aaya raqs mein yun lage mujhe jaise jism zanjir se nikal aaya meri qismat to dekhiye sahab khwab tabir se nikal aaya le ke apni kaman-o-tegh-o-sipar saya-e-pir se nikal aaya uzr-e-takhrib-gar pas-e-parda shauq-e-tamir se nikal aaya meri tanhai bantne 'rahat' aks taswir se nikal aaya