sar-e-tufan-e-gham aksar sahaara dhund lete hain udasi ke samundar mein kinara dhund lete hain kabhi to samne ki baat bhi hum par nahin khulti kabhi tah-dariyon mein gum ishaara dhund lete hain tabiat rang mein aae to hum chashm-e-tasawwur se kisi be-jaan manzar mein nazara dhundh lete hain badal dale hain kitne ghar khushi ke waste hum ne magar ye gham hamesha ghar hamara dhundh lete hain zamin jo mehrban hoti nahin to ab yahi hal hai falak par apni qismat ka sitara dhund lete hain hamari na-umidi aur tumhaari aarzuon ka mudawa ek hai mil kar khudara dhund lete hain gurezan hone lagti hai kabhi jab shairi hum se bahana us se milne ka dobara dhund lete hain