zikr un ka zaban par aaya goya malik makan par aaya khandani wo ho nahin sakta jo mere khandan par aaya khol kar ke shikasta par apne phir parinda udan par aaya jis ghadi aae wo mere ghar mein dil mera aasman par aaya us ne rakkha jo pair pani mein jhuma dariya ufan par aaya dhul 'raushan' pe sab ne phenki thi dagh na us ki shan par aaya