zillat hai jo phailae bashar pesh-e-digar hath

zillat hai jo phailae bashar pesh-e-digar hath
yarab na kabhi hath ka ho dast-nigar hath

panja karen khurshid se bedaron ki palken
furqat ki shab aa jae jo daman-e-sahar hath

hain sahib-e-sar-panja raison ko nachate
sar par jo pade chot to hota hai sipar hath

ji mein hai kahun un se ki hun dast-girafta
wo sun ke khajil hon jo kahen lao idhar hath

kya duzd-e-hina hath laga sim-baron ko
dil hath se le jata hai chori se wo har hath

khurshid ke panje se ishaara hai ki aaqil
allah ki jaanib ko utha waqt-e-sahar hath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close