zinda-dili nishana-e-tahqir kis liye

zinda-dili nishana-e-tahqir kis liye
khinchti nahin hayat ki taswir kis liye

shakh-e-shajar pe hoti to kuchh aur baat thi
maujon pe aashiyane ki tamir kis liye

kya tu ne pairwi-e-nabi chhod di hai ab
be-faiz ho gai teri taqrir kis liye

ahl-e-shuur jo the wo pasti mein kho gae
be-dhang log pa gae tauqir kis liye

tufan ka khayal hai ya zalzale ka khauf
tere labon pe nala-e-shab-gir kis liye

mashhur thin zamane mein shirin-bayaniyan
ab kho gai zaban ki tasir kis liye

ta-subh tu ne khwab hi dekha na raat ko
phir puchhta hai khwab ki tabir kis liye

manzil hai 'dagh' samne apne qadam badhao
tum dekhte ho jaanib-e-rah-gir kis liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close