zinda hona aur na jina tum hi kaho kya mumkin hai khud ko kar dena an-dekha tum hi kaho kya mumkin hai aas ki lau aankhon mein jalae ladti jaun andheron se raat hai raat ka ho na sawera tum hi kaho kya mumkin hai tez hawa ka ek jhonka shoalon mein badal ke rakh dega chingari ko dabae rakhna tum hi kaho kya mumkin hai jhut ke panw nahin hote ek roz to pakad jaega sach ke hath kabhi nahin aana tum hi kaho kya mumkin hai kis kis ko chup koi kare hain jitne munh hain utni baaten aag lage aur dhuan na uthna tum hi kaho kya mumkin hai mumkin hai khul kar na kaha ho us se main ne magar 'bilqis' us jaise ka kuchh na samajhna tum hi kaho kya mumkin hai