zinda rahe to hum ko na pahchan di gai marne ke baad khub pazirai ki gai kya kya sitam hue hain mere sath barha dhoke se kitni bar meri jaan li gai sine se mere noch li taswir-e-yar bhi shiryan-e-zindagi hi meri kat di gai tanhaiyon mein main teri yaadon ke sath tha mahfil saji to yaadon se wabastagi gai is la-dawa maraz ka asar puchhte ho kya dil ne diya na sath to tanhai bhi gai dariya masarraton ka to ab sukh hi gaya khun-e-jigar piya to meri tishnagi gai deta jawab kya main takallum ka yar ke us ki nigah-e-naz mere hont si gai arbab-e-ilm-o-fan ki tawajjoh hui to 'shad' mahfil mein tere fan ko bhi pahchan di gai