nafi ko yun isbaat karo khatm tum apni zat karo duniya se jab milne jao pahle khud se baat karo din bhar mere sath rahe khud mein basar ab raat karo raat ki zulf sanwar jae hijr ko gar mashshat karo nam mera dil par likhwao dhadkan ko khattat karo mujh par aise pyar lutao sagar par barsat karo baat hai mere bare mein lahje ko mohtat karo jab bhi sukhan-e-bisat bichhe har shatir ko mat karo umr ki punji khatm na ho kam kuchh ikhrajat karo ain ka amrit chakhne ko tark sabhi lazzat karo