zinda rahne ka wo afsun-e-ajab yaad nahin main wo insan hun jise nam-o-nasab yaad nahin main khayalon ke pari-khanon mein lahraya hun mujh ko bechaargi-e-mahfil-e-shab yaad nahin khwahishen rasta dikha deti hain warna yaro dil wo zarra hai jise shahr-e-talab yaad nahin gard si baqi hai ab zehn ke aaine par kaise ujda hai mera shahr-e-tarab yaad nahin tabsira aap ke andaz-e-karam par kya ho mujh ko khud apni tabahi ka sabab yaad nahin khud faramoshi ne taklif ki shiddat kam ki mujh ko kab yaad the ye zulm jo ab yaad nahin mujh se puchha jo gaya jurm mera mahshar mein dawar-e-hashr se kah dunga ki ab yaad nahin ijz ke sath chale aae hain hum 'yazdani' koi aur un ko mana lene ka dhab yaad nahin