na ki jafaon mein usne koi kasar phir bhi

na ki jafaon mein us ne koi kasar phir bhi
lage hue the umidon ko meri par phir bhi

tumhaari yaad se wabasta hai hayat meri
kisi ka yun to hua kaun umr bhar phir bhi

tum apne gird fasilen bana ke baithe ho
hua to hoga meri yaad ka guzar phir bhi

charagh aankhon ke viran hote jate hain
tumhaari rah se uthti nahin nazar phir bhi

tamam rup liye chandni chali aai
hamara dil raha tarik ek ghar phir bhi

na raushni hai koi aur na raste malum
chale hain aaj tere sath be-khatar phir bhi

tamam umr diya main ne apna khun-e-jigar
mila na mujh ko koi saya-e-shajar phir bhi

bahut thi chah dil-e-na-tawan ruk jae
tawil hota gaya umr ka safar phir bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close