zinda rahne ki aas hai ek shakhs mujh ko jiwan mein ras hai ek shakhs ek muddat se dur hai lekin phir bhi is dil ke pas hai ek shakhs warna main kab ki mar gai hoti zindagi ki asas hai ek shakhs us ke bin main to main nahin rahti kya mere tan ka mas hai ek shakhs mere dil ki umang jaanta hai kis qadar khud-shanas hai ek shakhs us mein utna hi mel mumkin hai jis qadar khush-libas hai ek shakhs