zindagani jab hamein ras aaegi dekh lena maut bhi aa jaegi wo nazar jab bhi karam farmaegi laziman duniya hamein apnaegi mere ghar se sham-e-gham kab jaegi aaj jaegi to kal phir aaegi kaun zinda rah sakega bin tere kis se ye tohmat uthai jaegi kaun jaane kya ho phir tauba ka hashr mai-kade par jab ghata ghar aaegi ek din hum khak mein mil jaenge har haqiqat dastan ban jaegi kya karun un ki nasihat ka gila doston se aur kya ban aaegi main na kahta tha na puchhen mera haal aap ko sun kar hansi aa jaegi gardish-e-dauran ko samjha dijiye hum se uljhegi to munh ki khaegi wo mitane ko hain ai 'asi' hamein ye khalish bhi ek din mit jaegi