makhfi hain abhi dirham-o-dinar hamare mitti se nikal aaenge ashjar hamare alfaz se khinchi gai taswir-e-do-alam aawaz mein rakkhe gae aasar hamare zangar kiya jata hai aaina-e-takhliq aur naqsh chale jate hain bekar hamare kuchh zakhm dikha sakta hai ye rauzan-e-diwar kuchh bhed bata sakti hai diwar hamare kyun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz aazad kiye jaen giraftar hamare kyun sham se viran kiya jata hai hum ko kyun band kiye jate hain bazar hamare kya aap se ab sakhti-e-be-ja ki shikayat jab aap hue malik-o-mukhtar hamare tahsin-talab rahte hain ta-umr ki 'azar' paida hi nahin hote taraf-dar hamare