zindagani ko fan ke nam kiya kaam karna tha main ne kaam kiya ilm hi ki sharab pi jhuk kar khud ko hargiz na waqf-e-jam kiya gham hua meri zindagi ka madar is qadar gham ka ehtiram kiya jaise mashuq se ho ru-e-sukhan zindagi tujh se yun kalam kiya khak chhani jo fan ke sahra ki hum ne zauq-e-junun ko aam kiya kaamilan-e-sukhan ko padh padh kar sher-goi mein kuchh to nam kiya apne fan par na aanch aane di umr bhar fan ka ehtiram kiya koi manzil na thi jo sar na hui jab bhi himmat ko tez-gam kiya husn ko main ne tut kar chaha husn ke dil mein bhi qayam kiya fan mein mujh jaisi jis ne kawish ki main ne dil se use salam kiya umr bhar shaeri jo ki maghmum main ne gumnamiyon mein nam kiya