zindagi apna safar tai to karegi lekin ham-safar aap jo hote to maza aur hi tha kaba o dair mein ab dhund rahi hai duniya jo dil o jaan mein basta tha khuda aur hi tha ab ye aalam hai ki daulat ka nasha tari hai jo kabhi ishq ne bakhsha tha nasha aur hi tha dur se yunhi laga tha ki bahut duri hai jab qarib aae to jaana ki gila aur hi tha mere dil ne to tujhe aur hi dastak di thi tu ne ai jaan jo samjha jo suna aur hi tha