meri iza mein khushi jab aap ki pate hain log to mujhe kis kis tarah se aa ke dhamkate hain log hath kya aata hai un ke kuchh nahin malum kyun mujh ko tum se aur tum ko mujh se chhudwate hain log ek to kuchh ji hi ji mein ruk rahe hain mujh se wo dusre ja ja ke un ko aur bhadkate hain log mere un ke sulh az-bas khalq ko hai nagawar wo to hain kuchh sard lekin un ko garmate hain log raat aur din soch rahta yahi 'rangin' mujhe main to sab se rast hun kyun mujh se bal khate hain log