zindagi aur bhi dushwar hui jati hai ab to har sans ek aazar hui jati hai bin kahe raaz-e-mohabbat hai zamane pe ayan khamushi bhi meri guftar hui jati hai saf inkar kiya wasl se tu ne lekin muskurahat teri iqrar hui jati hai kabhi darta hun giran guzre na un ko meri baat aur kabhi jurat-e-izhaar hui jati hai un ke aane ki khabar sun ke na jaane us dam tez kuchh qalb ki raftar hui jati hai zabt ki had se guzarte hi mohabbat apni khub ruswa sar-e-bazar hui jati hai un ki masum nazar thi kabhi 'fayyaz' magar ab to aalam se khabar-dar hui jati hai