dosti husn-o-mohabbat mein magar hoti hai zindagi khar ki phulon mein basar hoti hai har ada un ki jo manzur-e-nazar hoti hai jaan-e-dil hoti hai paiwast-e-jigar hoti hai baat banti hai to ho jati hai duniya hail baat badhti hai to duniya ko khabar hoti hai zoaf-e-anwar ko taqdir samajhne wale har jawan raat hi paigham-e-sahar hoti hai har kisi chashm ka aansu hai bina-e-tufan jab teri yaad bhi hamraaz-e-safar hoti hai tum mujhe pyar ke andaz se dekha na karo dil dhadakta hai to duniya ko khabar hoti hai sun liya karta hun aksar main kahani 'gham' ki gham ke andaz mein jo raat basar hoti hai