zindagi-bhar ek hi kar-e-hunar karte rahe ek gharaunda ret ka tha jis ko ghar karte rahe hum ko bhi malum tha anjam kya hoga magar shahr-e-kufa ki taraf hum bhi safar karte rahe ud gae sare parinde mausamon ki chah mein intizar un ka magar budhe shajar karte rahe yun to hum bhi kaun sa zinda rahe is shahr mein zinda hone ki adakari magar karte rahe aankh rah takti rahi dil us ko samjhata raha apna apna kaam donon umr-bhar karte rahe ek nahin ka khauf tha so hum ne puchha hi nahin yaad kya hum ko bhi wo diwar-o-dar karte rahe