shaki bad-zan aazurda hain mujh se mere bhai yar jaane kis ja bhul aaya hun rakh kar main goyai yar khamoshi ke sahra chutki mein aawazon ke jangal kitni basti ujdi hum se kitni hum ne basai yar dekho na-ummidi ko aise thenga dikhlate hain aksar apne ghar ki kundi khud hum ne khatkai yar tanhai mein ab bhi koi baalon ko sahlata hai hath pakadna chahen to thattha mare purwai yar aaj use phir dekha jis ko pahron dekha karte the ab kuchh wo bhi mand pada hai kuchh apni binai yar achchhi basti achchha ghar achchhe bachche achchhe haalat jis ke dekho sath lagi hai ek khwahish aabai yar mani ki dhajji bikhri aur lafzon ke tane bane raat takhayyul ne masti mein ki hangam-arai yar