zindagi bhar ka rona gana hai qaid-khana to qaid-khana hai chuk ke nam par bhi chuk nahin kitna zalim tera nishana hai wo zamana bhi kya zamana tha ye zamana bhi kya zamana hai jaise chahen saja ke pesh karen aap hain aur gharib-khana hai kya ajab shart hai mohabbat ki waqt-e-rukhsat bhi muskurana hai main hun bimar tum chale aao ab yahi aakhiri bahana hai aur kuchh din kharab kar lo yahin phir tumhein laut kar bhi aana hai yaad karna hai ek pal tum ko aur phir der tak bhulana hai han talluq hamin ne tod diya ab sabhi ko yahi batana hai