usne mujhse ghalat-bayani ki

us ne mujh se ghalat-bayani ki
ye alamat bhi hai jawani ki

sirf aankhen hi nam nahin karta
khubiyan aur bhi hain pani ki

aap ko nind aa rahi hai kya
ibtida hai abhi kahani ki

han chhupa kar to rakh diya lekin
kaise khushbu mite nishani ki

lutne mein lage rahe sare
dil pe jis jis ne hukmrani ki

aansuon ko bhi kar diya nilam
aap ne khub mehrbani ki

sari basti mein aag lagwa kar
us ne rakh li dukan pani ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close