zindagi chamke meri mehr-e-darakhshan ki tarah tum agar sath do mera shab-e-hijran ki tarah phir main khud aap se tabir-e-mohabbat puchhun aap aa jaen kisi khwab-e-pareshan ki tarah lakh qurbaniyan ek zat ki khatir se huin koi patthar bhi na puja gaya insan ki tarah aur kya pesh karun hasil-e-zabt-e-gham-e-ishq chashm-e-giryan ki tarah chehra-e-khandan ki tarah hath aa jae agar gosha-e-daman-e-karam wusaten dun main use aalam-e-imkan ki tarah aur kya laun main takmil-e-bahaaran ka subut apne daman ki tarah apne gareban ki tarah aandhiyan aati hain gul karne ko 'ehsas' bahut jhilmilata hun charagh-e-tah-e-daman ki tarah