main hi main bikhra hua hun rah-ta-manzil tamam khak-dan ta-asman chhaya hai mustaqbil tamam pi chuki kitni hi maujon ka lahu sahil ki ret lashen hi lashen nazar aain sar-e-sahil tamam ghar ko din bhar ki mata-e-rah-nawardi saunp di sai-e-paiham ka ghubar-e-shahr tha hasil tamam dekhna sab ne utha rakkhi hai kandhon par salib bhes mein maqtul ke ru-posh hain qatil tamam mahtab ubhra bhi to jaane kahan duba ki raat kar diya maujon ne chhalni sina-e-sahil tamam