zindagi dard-e-mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin dard fitrat ki inayat ke siwa kuchh bhi nahin mujh gunahgar ko hai naz jo rahmat pe teri tarz-e-izhaar-e-nadamat ke siwa kuchh bhi nahin meri nazron ka taqaza hi sahi husn tera husn ek shokhi-e-fitrat ke siwa kuchh bhi nahin kuchh na kahna bhi mohabbat mein mohabbat ki qasam ek izhaar-e-haqiqat ke siwa kuchh bhi nahin ajnabi ban ke nigahon mein samane wale ajnabiyyat ye inayat ke siwa kuchh bhi nahin meri duniya-e-khayalat mein aane wale ye mere khwab-e-masarrat ke siwa kuchh bhi nahin mera har qaul-o-amal us ka hai shahid 'sadiq' mera aain sadaqat ke siwa kuchh bhi nahin