khilaunon ki dukan par dard ka shahkar laya hun ye kuchh aansu hain jin ko bechne bazar aaya hun nigahon se baraste sard shoalon ki kahani ko ghazal ka rup de kar aap ki mahfil mein laya hun tasawwur ke ufuq par jagmagate chand taron ko andheri bastiyon ke nam ek paigham laya hun sunaun to ye dar hai aap par bar-e-garan hoga wo ek sada sa afsana jise aankhon mein paya hun zara nazren utha kar muskura kar dekh to lije badi ummid le kar aap ki mahfil mein aaya hun gham-o-dard-o-alam ke tez tufanon ki godi mein jo sadiyon se raha hai main usi hasti ka saya hun jise duniya ne badh kar zindagi ka nam de dala usi be-rabt si khwahish ka 'sadiq' main sataya hun