zindagi dard ke siwa kya hai ji mere yar sochta kya hai hosh ki intiha to hai wahshat aur wahshat ki intiha kya hai rakh meri pyas par nazar saqi tu mera zarf dekhta kya hai main sitam ko khulus kahta hun ye ghalat hai to phir baja kya hai apni koi khata nahin 'ishrat' aur is se badi khata kya hai