zindagi dard se mamur hui jati hai

zindagi dard se mamur hui jati hai
sarkhushi dur bahut dur hui jati hai

din ko pal bhar mein mayassar nahin sukh chain mujhe
raat ki nind bhi kafur hui jati hai

zindagi sham-o-sahar thokaren khate khate
zahr-e-gham pine pe majbur hui jati hai

gham-o-alam ki zulmat hai kuchh is tarah muhit
zindagi ek shab-e-dijur hui jati hai

apne ahbab bhi ab milte hain begana-sifat
be-rukhi dahr ka dastur hui jati hai

mujh ko duniya ke rawayye pe tajjub hai bahut
dil mera tod ke maghrur hui jati hai

kis ke tute hue dil ki ye sada hai yaro
anjuman be-khud-o-masrur hui jati hai

soz-e-pinhan ki jhalak hai tere sheron mein 'bahaar'
khush-nawai teri mashhur hui jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close