zindagi daudti hai sadkon par aur phir maut bhi hai sadkon par din-dahade pada hai ek zakhmi kya ajab tirgi hai sadkon par log bas be-dili se chalte hain yani bechaargi hai sadkon par umr ghar mein to us ki kam guzri aur ziyaada kati hai sadkon par muflisi kaisi kaisi shaklon mein tu bhi aksar mili hai sadkon par chalte hum tum bhi hain magar 'farhat' hod raftar ki hai sadkon par