dil-e-sozan-e-ashiq makhzan-e-rang-e-wafa hoga wo hissa qadr ke qabil hai jitna jal gaya hoga chale the dard ko sun kar thame ye kah ke raste mein na jaana ab munasib hai wo kab ka mar gaya hoga ye ek bose pe itni bahs ye zeba nahin tum ko nahin hai yaad mujh ko khair achchha le liya hoga chhidi thin husn ki bahsen idhar chand aur idhar tum the kisi ko dekh kar be-parda koi chhup gaya hoga andhere ghar ki kuchh parwa nahin hai tira-bakhton ko tum aao qabr par raushan charagh-e-naqsh-e-pa hoga murawwat ki to surat bhi nahin dekhi un aankhon ne agar dhamkaun marne par to kah dega ki kya hoga tamasha jaankani ka kyun na dekha dekh to lete ragen jitni khichi thin dam bhi utna hi khicha hoga tum aao dekhne wala nahin koi sar-e-madfan charagh-e-qabr afsurda tha kab ka bujh gaya hoga abhi to aag sine mein kahin kam hai kahin zaid agar mil jaenge aapas mein sab chhaale to kya hoga chamak utthi jo mere zakhm-e-dil mein kya qayamat hai falak par chand nikla hoga ya koi hinsa hoga hamin se puchh lo kaise ho tum aur husn kaisa hai agar aaine ko dam bhar na dekhoge to kya hoga gham-e-furqat ka kya shikwa qayamat aane wali hai khuda ke samne aakhir to ek din samna hoga yahi 'jawed' behtar hai ki ab tauba se kar tauba wahi chhup kar piyega mai jo tum sa parsa hoga