zindagi dushwar thi dushwar hai kitni yaksan waqt ki raftar hai aaina khud aaina-bardar hai ye hamara chehra-e-kirdar hai zindagi aazar hi aazar hai phir bhi hum ko zindagi se pyar hai waqt ka rukh mod sakta hai wahi waqt se jo barsar-e-paikar hai jaane kitne jhele baitha hai azab ye shajar jo aaj saya-dar hai gulsitan mein kya nasheman ka shumar jab ki gul hi shakh-e-gul par bar hai kab talak pas-e-zaban-bandi 'majid' zindagi lab-tishna-e-guftar hai