zindagi fart-e-hadsat se hai maut aasaish-e-hayat se hai sham-e-zulmat hai muft mein badnam aabru-e-sahar to raat se hai be-rukhi mein hai kaif-e-sarshaari tishnagi lutf-e-iltifat se hai zauq-e-araish-e-jamal se dur sadgi husn ki sifat se hai main na hota to baat hi kya thi baat lekin jo kaenat se hai qurb-e-jaanan se khauf khata hun pyar tark-e-talluqat se hai ret ke dher par likha hai nam ye amal jaise baqiyat se hai hadse aag bijliyan aandhi jo bhi aafat hai meri zat se hai kitne dariya the maujzan us mein tishna-lab jo lab-e-furaat se hai nazm-o-qat'at bhi 'kalim' hain khub kaif ghazlon ki wardat se hai