shabnam ki nami dhup ki tabish bhi bahut thi

shabnam ki nami dhup ki tabish bhi bahut thi
baaton mein gile bhi the sataish bhi bahut thi

kuchh ras bhi aae the badalte hue mausam
kuchh phul ki fitrat mein numaish bhi bahut thi

phir bhi na bujhi shama khayalon ki tumhaare
aandhi bhi bahut tez thi barish bhi bahut thi

kuchh saghar-o-mina mein ghula pyar ka amrit
nazron ki kabhi itni nawazish bhi bahut thi

kanton mein bhi kyon rup na aa jata gulon ka
ek shakh pe donon ki rihaish bhi bahut thi

sahil se na karte rahen tufan ka nazara
hum dubne walon ki ye khwahish bhi bahut thi

us shokh ki surat mein kashish to thi bala ki
sirat mein magar fitrat-e-sazish bhi bahut thi

tahrir jo chehron ki kitabon mein thi likkhi
tum ghaur se padhte to nigarish bhi bahut thi

nikhra hua kyon rang taghazzul ka na hota
us mein jo 'kalim' aap ki kawish bhi bahut thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close