zindagi gham ki aanch sah koi yun jali yun bujhi ki dhul hui hum ne bhi jashn-e-gul ko dekha tha aaj tak sochte hain bhul hui kya karen apni is tabiat ko aap se mil ke bhi malul hui husn-e-shirin raha shikar-e-hawas jehd-e-farhad be-husul hui hum hain wo kushtagan-e-shauq jinhen sohbat-e-dar bhi qubul hui le sambhal zulmaton ke rakhwale apna ab raushni usul hui kis ko hansta mila chaman mein 'riyaz' ghunchagi kis ki khil ke phul hui