aur kuchh is ke siwa ahl-e-nazar jaante hain

aur kuchh is ke siwa ahl-e-nazar jaante hain
pagdiyan apni bachane ka hunar jaante hain

ek sitare ko ziya-bar dikhane ke liye
wo bujhaenge sabhi shams-o-qamar jaante hain

khwab mein dekhte hain khidkiyan har ghar ki khuli
dur ho jaega ab shahr se dar jaante hain

mezbani thi kabhi jin mein mayassar teri
palat aaenge wahi sham-o-sahar jaante hain

teri jholi mein sitare ye nahin girne ke
har talabgar ka wo tarz-e-nazar jaante hain

ye jo sustane yahan aate hain sahab ek din
sae ke sath wo mangenge shajar jaante hain

tez aandhi se diye sare bachane ko 'farid'
khud ko rakkhega sar-e-rahguzar jaante hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close