zindagi guzri hai tanha umr-bhar main raha mar mar ke zinda umr-bhar wo kisi ki ho gai manzil to kya us ka dekha main ne rasta umr-bhar ishq dhoka hai sarasar ba-khuda main ne khaya hai ye dhoka umr-bhar bhul hi baithe hum apne aap ko bas use hi hum ne socha umr-bhar yaad bhi karta nahin hun main jinhen karte aae mera charcha umr-bhar kah na pae baat dil ki aaj tak mil nahin paya wo tanha umr-bhar wo karam kar de to hai us ki raza kar na pae ek sajda umr-bhar ek sifar hi rah gaya hun ab to bas sab pe main ne khud ko kharcha umr-bhar tere mere mein hi phans kar rah gae ho na paya koi apna umr-bhar