maza bhi talkh nahin tha ye qahr kaisa tha utar raha tha ragon mein jo zahr kaisa tha udas sab the nae mausamon ki aamad par gai ruton ka gila shahr shahr kaisa tha nikal sake na kabhi maziyon ki khandaq se samaaton pe sadaon ka qahr kaisa tha kisi tarah koi tiryaq kargar na hua badan mein phail gaya tha jo zahr kaisa tha sawali sare tahi-dast hi palat aae dariche band the sab ke wo shahr kaisa tha khunuk hawaon mein thi teri guftugu ki mithas wo tera zikr jo tha lahr lahr kaisa tha