zindagi hai ki har ek gam nigun-sar hai abhi zehn ghatte hue ehsas ka mehwar hai abhi chhut kar jaun kahan main ki hun khud mein hi asir jaane kis dard ka aaseb mere sar hai abhi zalzala ban ke mita degi kisi roz mujhe hae wo shai ki jo muzmar mere andar hai abhi na koi aks na chehra hai na paikar koi dur tak dhund mein lipta hua manzar hai abhi hadse gher na len phir sar-e-bazar mujhe mere sine mein wahi shor samundar hai abhi