zindagi hai mere hathon mein taraazu ki tarah waqt thahra hai meri aankhon mein aansu ki tarah aaine mein mere chehre ka tera ho jaana munh chidhata hai mujhe raat ke jadu ki tarah main jahan jaun mahakta hai tasawwur tera sath rahta hai wo ehsas ki khushbu ki tarah tere jaane pe ye ehsas hua hai aksar khali khali si hai duniya mere pahlu ki tarah jalti rakh aaya hun aankhen main kahin chaukhat par teri rahon mein hai raushan kisi jugnu ki tarah wasl ke ba'd bhi sunta hun hansi ko teri der tak kan mein bajti hai wo ghunghru ki tarah