samajh saka na baat main kyon mustaqil wabaal mein raha

samajh saka na baat main kyon mustaqil wabaal mein raha
jawab mein na aa saka hamesha hi sawal mein raha

mitega kaise fasla wo us ke mere bich ka bhala
junub mein raha jo main to ja ke wo shumal mein raha

bhula diya gaya hun main ki jaise khwab-e-kham tha koi
wo naqsh-e-zehn-o-dil bana rawan-dawan misal main raha

qadam qadam bichhe the chaar-su wo masalon ke jal se
shikar-gah hayat thi hamesha qaid jal mein raha

guzar ke waqt jaega kahan hadon se kaenat ki
ki bahr-e-be-karan sa wo hamesha apne haal mein raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close