zindagi hosh ki duniya se juda lagti hai jab kisi daman-e-gul-ru ki hawa lagti hai shukriya teri nawazish ka magar kya kahiye ye nawazish bhi to ek tarz-e-jafa lagti hai is chaman-zar-e-mohabbbat mein hamein ai hamdam apni hasti bhi kisi gul ki dua lagti hai hum ko be-raunaqi-e-sham-e-tamanna taslim aap ki subh bhi mange ka diya lagti hai kya qayamat hai ki be-rah-rawi bhi hum ko wajh-e-shaistagi-e-fikr-o-nawa lagti hai mujh se milti hai to katra ke nikal jati hai har khushi chashm-e-taghaful ki ada lagti hai ho jo manus tabassum ki kiran se 'nazim' dil ki har fikr ujalon ki nawa lagti hai