zindagi jine ka yun humne sahaara kar liya

zindagi jine ka yun hum ne sahaara kar liya
un ka har tir-e-sitam hans kar gawara kar liya

zehn mein mahfuz hain jalwe abhi us shokh ke
dil pareshan jab hua un ka nazara kar liya

doston mein koi bhi mera nahin tha ham-khayal
is liye ahbab se main ne kinara kar liya

ek patthar dil se takrae to ye lagne laga
hum ne khud apne jigar ko para-para kar liya

dekhne wale bahut the koi samjha hi nahin
aankhon hi aankhon mein us ne khel sara kar liya

jo muqaddar mein nahin tha us ko pane ke liye
is qadar uljhe ke khud apna khasara kar liya

hum faqiron ko nahin kuchh tar-niwalon se gharaz
rukhi sukhi kha ke bhi apna guzara kar liya

us ne taqriron se apni nafraten phailain thin
shairi se hum ne qaem bhai-chaara kar liya

zindagi bhar sath ab us ka nibhana hai tumhein
jis ne apne nam 'rahbar' gham tumhaara kar liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close