zindagi jis ka nam hai yaro qissa-e-na-tamam hai yaro aadmi ko dawam ho ki na ho aadamiyat dawam hai yaro khilte jate hain phul rahon mein kaun mahw-e-khiram hai yaro zindagi ka koi maqam nahin zindagi khud maqam hai yaro ek waqti surur-e-bulhawasi ishq kaif-e-dawam hai yaro kar-e-yazdan jise samajhte ho wo tumhaara hi kaam hai yaro magar duniya ba-maslahat bhi ghalat din isi ka to nam hai yaro zindagi mera sath de ki na de maut mujh par haram hai yaro azm mazbut hausle mohkam waqt kis shai ka nam hai yaro fikr-e-'anjum' ko shairi na kaho ek ghaibi payam hai yaro