ab is sada kahani ko naya ek mod dena tha zara si baat par ahd-e-wafa hi tod dena tha mahakta tha badan har waqt jis ke lams-e-khush-bu se wahi gul-dasta dahliz-e-khizan par chhod dena tha shikast-e-saz-e-dil ka umr bhar matam bhi kya karte ki ek din hanste hanste saz-e-jaan hi tod dena tha safar mein har qadam rah rah ke ye taklif hi dete bahar-surat hamein in aablon ko phod dena tha ghalat-fahmi ke jhonkon se bikhar kar rah gae aakhir lahu ki aanch mein tute dilon ko jod dena tha wo jis pe zikr hai qaul-o-qasam aur ahd-o-paiman ka kitab-e-zindagi ke is waraq ko mod dena tha banaya hi nahin hum ne kabhi ye soch kar 'anjum' ki gautam ki tarah ek din hamein ghar chhod dena tha