zindagi jis par hanse aisi koi khwahish na ki ghao sine mein sajae ghar ki aaraish na ki nukta-chini par meri tum itne bargashta na ho kah diya jo kuchh bhi dil mein tha magar sazish na ki ek se haalat aae hain nazar har daur mein ruk gae mere qadam ya waqt ne gardish na ki jhuk gaya qadmon pe tere phir bhi sar uncha raha aankh patthar ho gai jalwon ki farmaish na ki lakh nazron ko uchhaala tu na aaya baam par sae sar patkha kiye diwar ne jumbish na ki main ne jin aankhon ko sine mein utara phir gain khud ko apnane ki is dar se kabhi koshish na ki rah ke mahdud-e-wasail ki 'muzaffar' ne basar panw phaila kar kabhi chadar ki paimaish na ki